Bazaarvaad in medication + role of bad medicines in different fields

aaj lagta hai ki mai  experiment me  use hone wala chooha ban gayaa hun.saaalon se kabhi ye kabhi wo dawaa kha-khaakar main pareshaan ho gayaa hun. Ek baar faayada karne ke baad bhi doctor dawaayen badal deta hai aur nayi dawaa dekar uska asar jaanne ki koshish mein lag jaata hai. Vastav mein nayi dawa ka gareeb aura aam logon par ‘experiment’ karne ki beemaari ab mahaamaari ka roop le chuki hai.ismen doctor ko MR’s se kameetion mil jaata hai,dawa kampaniyon ko apni dawa ke bare mein upyogi feedback mil jaata hai lekin thagaa jaata hai kewal bechaara gareeb aam aadmi,jo ki ilaaj ka mahanga kharch bhi uthaata hai aur nayi dawaaon ke istemaal se hone waale ‘side effect ko bhi jhelta hai aur agar saubhagya se dawa asarkaarak hui to us dawa ki bikri aur daam badh jaate hain lekin us aadmi ko koi faayada nahin milta.use side effect hone par bhi koi muaawajaa nahin milta, bhale hi side effect se us aadmi ki jaan hi kyon n chali jaay aur paper mein hamein ye padhane ko milta hai ki briten ya amerika me shodhkartaaon ne 14081 logon par sarvakshan kiya aur paaya ki ye dawaa is tarah se faayademand hai aur ismein ye-ye side effects hain.agar ye experiment sach mein briten ya amerika mein hi hote hain to phir wahan kisi ko side effect kyon nahin hota.me
Bachpan mein main eek nibandh padha tha-‘vigyaan vardaan ya abhishaap’aur aaj usi science ke ek part ‘medical science’ ka yah –ve pahloo hamaare saamne hai.baat yahin khatm nahin hoti. Maine pahale bhi bazaarvaad ko aaj ka sabse bada khatra kahaa tha, aaj ise aur spasht karna chaahta hun.baazaar me cheejein banna shuru to hoti hai logon ki jaroorat ke aadhaar par lekin ek limit ke baad jab selling fix ho jaati hai ya us kshetra mein extra players aa jaate hain to kampaniyayan apna munaafa badhaane ke liye demand paida karne ki koshish karne lagti hain.ye zabardasti demand paida karne ke liye apnaaye jaane waale ulte-seedhe hathkande kai samasyaon ka kaaran ban jaate hain.ye kareeb-kareeb waisa hi hota hai jaise ki sone ke ande dene waali murgi se ek din me ek se zyaada ande nikaalne ke chakkar mein murgi ko hi kaat dena ya phir zyaada fasal ugaane ke chakkar mein itnaa khaad aur keetnaashak daal dena ki dharti hi banzar ho jaaye.durbhagya se aaj lagbhag sabhi kampaniyan aisa hi karti dikhaai de rahi hain.chaahe wo khaane-peene ki vastuyen banaane waali kampaniyan hon, hathiyaar banaane waali ya koi anya kampany.
Ab ek jhadte baalon ko rokne waale utpaad ke ad ki hi baat lein,jismein takle aadmi ko samaaj mein kaafi beijjat hote huye dikhaaya jaata hai. Ab us takle aadmi ke paas kewal do vikalp bachate hain ki ya to wo us kampany ke mahange product ko istemaal kare(bhale hi wo product uske bajat mein ho ya n ho) ya phir suicide kar le. Kya aisa bazaarvaad sahi hai? Philhaal main dawaaon ke bazaarwaad par hi baat karta hun.yahan bhi kai jagah dawaaon ki demand ‘create’ ki jaati hai.zaahir si baat hai ki dawaaon ki demand badhaane ke liye kisi bhi tarah beemaari failaane waale virus chodna ya bazaar me bikne waali  khaane-peene ki cheejon me halka jahreela padarth milwa dena kaafi aasaan kaam hai.yah khel kewal doctor hi nahin balki dhongi baaba aur ojha-tantrik bhi milkar khelte hain.Aakhir saalon se jis beemari ko kai doctor nahin thik kar paate use achaanak koi ojha-tantrik kaise theek kar deta hai? kya aisa nahin lagta ki pahle wahi baba beemari failaane wala jahar kisi tarah khilaata hai, phir usi ka ilaaj kar ke paise lootataa hai? wastav me yah har cheese ko bechane ka aam tareeka ho gaya hai ki pahle samasya paida karo phir usi samasya ko solve karne wala product logon ke saamne le jaakar unhen chain se looto. Yah bhagwaan ke roop mein jaane jaane waale kuch doctoron ka doosra saitaani chehraa hai. Doctor ke is chehre ka aur bhi jaghon par use hai. Jaise ki organized crime ke liye ladkon ko shaareerik aur maansik roop se logon ko taiyaar karna, jaise ki nayi bharti waale aatankavaadiyon ka ‘brainwash’ karna.
Is tarah se -ve dawaaon ka ek kshetra aur bhi hai aur wo hai ‘fixing’. Is baat par kai logon ko aashcharya hoga kyonki sabhi bas yahi jaante hain ki fixing kewal laalach ya dark i wajah se hi hoti hai lekin fixing ka ek aur angle bhi hai aur wo hai kisi achche khilaadi ki performance bigaadne waali ya kamzor khilaadiyon ki performance badhaane waali dawaaon ka istemaal bhi ho sakta haiaur ye dawaayen itni hain ki doping test mein bhi pakad mein nahin aati.maan leejiye ki bhaarat ka cricket match Australia se hai aur ek din pahle khilaadiyon ko anxiety jaisi maansik beemari ko paida karne waali dawaa thodi matra mein de dein to agle din raahul dravid jaisa dharywaan khilaadi bhi nishchit hi australiyaai khilaadiyon ke uksaane par ulte seedhe shot khelkar apna vicket ganvaa dega aur ye dawaa jaldi pakad me bhi nahin aayegi.aajkal to inhen pakadna aur bhi mushkil hai kyonki ab aise genetically modified hybrid beej taiyaar kiye ja rahe hain jinmein automatically aisi dawaaon ki khaasiyat hai.
Hollywood me ek film aayi thi-"the matrix",jisme actor kalpanic mayajaal se ladta hai lekin aaj jab mai medical science ke misuse ke poore field ko dekhata hu to khud ko aise hi ek matrix me pata hu jisme sab kuch dawaaon se control kiya ja rahaa hai,especially tab jab ham biology ke misuse ke dvaara genetically kisi prakaar ki kamjori ya beemari paida karne waale khadya padarthon ko jod le to.matlab ki ek doctor apni suvidha aur jaroorat ke anusaar logon ko sharer ya dimaag se kamjor ya taakatvar banaa sakta hai.
Political pressure create karne ke liye bhi in dawaaon ka istemaal kiya jaata hai aur agar main galat nahin hun to duniya bhar ke jaanwaron(underworld) ke circus ke show ko sanchaalit karne waala ‘ring master’ bhi yahi hai.(D=doctor)

Comments

Popular posts from this blog

27th Day :: Engineering 1st year syllabus

:: just about me ::

59th Day :: How to make our society clean from bad people